Saturday, September 7, 2013

Motape ka asan ilaaj for woman & man in hindi in urdu



Motape se chutkara pane ka asan upay kiya hai ?

Dore hazir me motapa ek gambheer bimari bankar samne aaraha hai. Motape se na sirf Aurate preshan hain balki mard our bachche bhi is bimari se preshan ho rahe hain.
Bahar ki cheezon ka khane me istemal our fast food ka badhta chalan is bimari ki ek badi wjah he.
Motape se sba se zyad istriyan yani Auraten preshan hoti hain jahan na sirf unko taklif uthana padhti hai balke unki khoobsurati me bhi kami ajati hai.
Lakin main yahan ek baat our arz karna chata hun ke ladies ko chaiye ke wo motapa kam karne ke chakkar me apni sehat ko nuksan na pahunchale yani bhut zyad dieting sehat ke liye nuksandeh hoskati hai.
Motapa kam karne ke liye Diet tips for you :-
·         Jab bhi khana khain salad ko apne khane me zaroor rakhin.
·         Tale bhune khane se bache.
·         Apne khane me hari sabziyon ka istemal zyada kare.
·         Kachori samosa chat is tarha ki jo cheez bazar me milti hain alg alg state me alg namon se aisi tali hui cheezon se parhez karen.
·         Mithaiyan our IC cream jaisi cheezon se bachen.
·         Namak ka istemal zyada na kre.
·         Phal furit our dalein kahne me zyada khain to behtar hoga.
·         Bazar ki cheeze jaise cake, chips etc istemal na karen.
·         Wazan har mahine me kamse kam ek bar zaror karwain take pata cahle ke aap ka wazan kam ho raha he ya nahi.
·         Rozana kam se kam 6-7 liter paini am tor se peena hi chaiye. Iska kahs dhiyan rakhe.
·         Jab khane ke liye baithe to chair ke bajaye farsh par baithe.
·         Khana kate waqt apne ek pair ko mod kar rakhe isse aap ka pait daba rahe ga our khana bhook se zyada kahne me na ayga.
·         Khane ke beech me pani zaroor peeyen our khane ke baad me pani taqreeban  1 hours  ke bad hi pien.
In baton ka khyal rakte hue aap khana khainge to inshallah zaroor motapa kam hoga.

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.